site under construction

.
News Update :
Home » » MUHABBAT KARNE WALEDIL

MUHABBAT KARNE WALEDIL

Muhabbat karne wale dil Buhat hassaas hote hain
Bas unka aik hi mahwar
Bas unka aik hi markaz
Bas unki aik hi manzil
Bas uunki justujo ka aur
tarap ka Aik hi hasil Unhe bas aik hi dhun hai KHUDA mehboob ko unke
Hamesha shadma rakhey Na uska dil kabhi toote Na koi saneha guzre Koi
ghum choo nahi paye Udasi pass na aye Muhabbat karne wale dil Buhat
hassaas hote hain Muhabbat karne wale dil Kabhi sooda nahi karte Na
koi shart rakhte hain Na unke mo'afzey ki hiras
hoti hai Kisi rad-e-amal se ya badal
se Unko kya matlab Ana se unka kya rishta Jafa se kya ilaqa Unhe tou
aik hi dhun hai KHUDA mehboob ko unke Hamesha shadma rakhey..
Share this article :
 
Company Info | Contact Us | Privacy policy | Term of use | Widget | Advertise with Us | Site map
Copyright © 2014. ELECTRIC PLUS . All Rights Reserved.
Design Template by electric plus | Support by creating website | Powered by Blogger