Zindagi ke raahon main runge-
o-gham k mailay hain
Chaar soo andhairay hain un
ginnat jhamailay hain Kishtiyan hain kaaghaz ki
barishon ka mousam hay
Aandhiyon k jhhakad main
paaniyon k railay hain Dard ka sumdar hay
mohabaton ke baazi main
Ghamo ke rawani main dard
kitnay jhailay hain Tum bina adhori hay zindagi
dau pal ke hay
Ansoowon k darya main kis
qader akailay hain Na tammam ruston main
doshmanno k pehray hain
Baywafa zamanay nay khail
kaisay khailay hain Kis ko maan lain apna kis say
doshmanni rakhain
Iss baibasi main ghum
baishumaar jhailay hain Baat ik lumhay ke hay waqat
kab maeyeser hay
Khawhishein hazaron hain
haath meray phailay hain Aa k tum he rakh jaao dil pay
haath shaukat k
Dooor reh k batoon say dil kis
k behlay hain (Kashtiyan:Boats)(Barish:Rain)
(Jhailay:Been Through, Faced)
(Rawani:Continuous)...
Kis kadar akailay hain.
Related posts:
If you enjoyed this article just click here, or subscribe to receive more great content just like it.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)