p Baarish Hui To Phoolon Ke Tan
Chaak Ho Gaye
Mausam Ke Haath Bhig Ke
Saffaak Ho Gaye
Baadal Ko Kya Khabar Ki
Baarish Ki Chaah Main
Kitne Buland-O-Balaa Shajar
Khaak Ho Gaye
Jugnu Ko Din Ke Waqt
Pakadne Ki Zid Karen
Bachche Hamare Ahad Ke
Chalaak Ho Gaye
Lahra Rahi Hai Barf Ki Chaadar
Hata Ke Ghaas
Suraj Ki Shah Pe Tinke Bhi
Bebaak Ho Gaye
Suraj Dimaag Log Bhi Iblaag-E-
Fikr Main
Zulf-E-Shab-E-Firaaq Ke
Pechaak Ho Gaye
Jab Bhi Garib-E-Shahar Se Kuch
Guftagu Hui
Lahje Hawa-E-Shaam Ke
Namnaak Ho Gaye
Saahil Pe Jitne Aab Guzidaa
The Sab Ke Sab
Dariya Ke Rukh Badalte Hi
Tairaak Ho Gaye...